jab talak gham jawan nahin hota
jab talak ġham javāñ nahīñ hotā
sabr kā imtihāñ nahīñ hotā
chheḌ mat jazba-e-mujāhid ko
ye kabhī nā-tavāñ nahīñ hotā
jāntā huuñ qarīb se us ko
be-ġharaz mehrbāñ nahīñ hotā
aise andāz se vo miltā hai
dushmanī kā gumāñ nahīñ hotā
ho mahal yā ġharīb kī kuTiyā
ġham kabhī be-makāñ nahīñ hotā
ham meñ shāmil koī munāfiq hai
dost yuuñ bad-gumāñ nahīñ hotā
laakh ta.alīm-yāfta hī sahī
kam nazar nukta-dāñ nahīñ hotā
band kar ab to shuġhl-e-nasl-kushī
dekh vaqt ek saañ nahīñ hotā
azm ko aazmā liyā 'muḳhlis'
rā.egāñ imtihāñ nahīñ hotā
jab talak gham jawan nahin hota
sabr ka imtihan nahin hota
chheD mat jazba-e-mujahid ko
ye kabhi na-tawan nahin hota
jaanta hun qarib se us ko
be-gharaz mehrban nahin hota
aise andaz se wo milta hai
dushmani ka guman nahin hota
ho mahal ya gharib ki kuTiya
gham kabhi be-makan nahin hota
hum mein shamil koi munafiq hai
dost yun bad-guman nahin hota
lakh talim-yafta hi sahi
kam nazar nukta-dan nahin hota
band kar ab to shughl-e-nasl-kushi
dekh waqt ek san nahin hota
azm ko aazma liya 'muKHlis'
raegan imtihan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.