jab talak wo guzar nahin jate
jab talak vo guzar nahīñ jaate
mere siine se Dar nahīñ jaate
sab luTāte ho us kī ḳhātir tum
kyoñ mohabbat meñ mar nahīñ jaate
jis mahalle meñ hoñ munāfiq log
chaah kar ham udhar nahīñ jaate
terī ik diid ke liye kuchh log
rāt-bhar apne ghar nahīñ jaate
kaise kaise ye log haiñ ki jahāñ
hai munāfa magar nahīñ jaate
jab talak wo guzar nahin jate
mere sine se Dar nahin jate
sab luTate ho us ki KHatir tum
kyon mohabbat mein mar nahin jate
jis mahalle mein hon munafiq log
chah kar hum udhar nahin jate
teri ek did ke liye kuchh log
raat-bhar apne ghar nahin jate
kaise kaise ye log hain ki jahan
hai munafa magar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.