jab tawaif shah ki rani hui
jab tavā.if shaah kī raanī huī
ghuñghruoñ kī nazar sultānī huī
tere dam se ghar thā jannat kī misāl
tū gayā jañgal sī vīrānī huī
aaj tak duniyā na de paa.ī misāl
qarn-e-avval meñ vo sultānī huī
dekhiye insān kī fir.auniyat
bādshāhī zill-e-sub.hānī huī
barf jaisī thī hamārī zindagī
lamha lamha ghul ga.ī paanī huī
baiThe baiThe aa gayā un kā ḳhayāl
fikr kī saada qabā dhānī huī
chauñk uTThā niiñd merī uḌ ga.ī
jab sunī āvāz pahchānī huī
chhoḌ dī 'vāsiq' kitāb-e-āgahī
tab to jiine meñ pareshānī huī
jab tawaif shah ki rani hui
ghunghruon ki nazar sultani hui
tere dam se ghar tha jannat ki misal
tu gaya jangal si virani hui
aaj tak duniya na de pai misal
qarn-e-awwal mein wo sultani hui
dekhiye insan ki firauniyat
baadshahi zill-e-subhani hui
barf jaisi thi hamari zindagi
lamha lamha ghul gai pani hui
baiThe baiThe aa gaya un ka KHayal
fikr ki sada qaba dhani hui
chaunk uTTha nind meri uD gai
jab suni aawaz pahchani hui
chhoD di 'wasiq' kitab-e-agahi
tab to jine mein pareshani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.