jab teri yaad ke jugnu chamke
jab tirī yaad ke jugnū chamke
der tak aañkh meñ aañsū chamke
saḳht tārīk hai dil kī duniyā
aise aalam meñ agar tū chamke
ham ne dekhā sar-e-bāzār-e-vafā
kabhī motī kabhī aañsū chamke
shart hai shiddat-e-ehsās-e-jamāl
rañg to rañg hai ḳhushbū chamke
aañkh majbūr-e-tamāshā hai 'farāz'
ek sūrat hai ki har sū chamke
jab teri yaad ke jugnu chamke
der tak aankh mein aansu chamke
saKHt tarik hai dil ki duniya
aise aalam mein agar tu chamke
hum ne dekha sar-e-bazar-e-wafa
kabhi moti kabhi aansu chamke
shart hai shiddat-e-ehsas-e-jamal
rang to rang hai KHushbu chamke
aankh majbur-e-tamasha hai 'faraaz'
ek surat hai ki har su chamke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.