jab teri yaadon ki purwai ghazal gati hai
jab tirī yādoñ kī purvā.ī ġhazal gaatī hai
phuul khil uThte haiñ tanhā.ī ġhazal gaatī hai
raqs kartī huī aatī hai tire jism kī yaad
terī TuuTī huī añgḌā.ī ġhazal gaatī hai
gudgudātī hai tasavvur ko tire ruup kī dhuup
mere jazbāt kī shahnā.ī ġhazal gaatī hai
ek muddat huī is raah se guzrā thā koī
aaj tak dil kī ye añgnā.ī ġhazal gaatī hai
naġhme sargoshī ke lahrāte haiñ panghaT panghaT
tohmateñ hañstī haiñ rusvā.ī ġhazal gaatī hai
jhuum jhuum uThtā hai saaqī tire 'qaisar' kā ḳhayāl
jab tirī āñkhoñ kī gahrā.ī ġhazal gaatī hai
jab teri yaadon ki purwai ghazal gati hai
phul khil uThte hain tanhai ghazal gati hai
raqs karti hui aati hai tere jism ki yaad
teri TuTi hui angDai ghazal gati hai
gudgudati hai tasawwur ko tere rup ki dhup
mere jazbaat ki shahnai ghazal gati hai
ek muddat hui is rah se guzra tha koi
aaj tak dil ki ye angnai ghazal gati hai
naghme sargoshi ke lahraate hain panghaT panghaT
tohmaten hansti hain ruswai ghazal gati hai
jhum jhum uThta hai saqi tere 'qaisar' ka KHayal
jab teri aankhon ki gahrai ghazal gati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.