jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin
jab tumhārā zālimoñ se koī bhī rishta nahīñ
kis liye tum ne shahā phir zulm ko rokā nahīñ
vaqt ke badle hue ruḳh ne panāheñ chhīn liiñ
ham pas-e-dīvār baiThe haiñ magar saaya nahīñ
āsmāñ kuchh to batā yā imtihāñ hai yā sazā
silsila zulm-o-sitam kā kis liye ruktā nahīñ
sab ne kāñToñ hī pe chal kar paa.ī hai manzil yahāñ
kāmyābī ke safar meñ to koī tanhā nahīñ
tājirāna zehniyat le kar milā karte haiñ log
ab kisī kā bhī kisī se be-ġharaz rishta nahīñ
phir zamāne ke thapeḌo aao Takrāte haiñ ham
maiñ abhī TuuTā nahīñ huuñ maiñ abhī bikhrā nahīñ
us se bachhḌā to akelā ho gayā 'at.har-shakīl'
ab kisī ke saath us kā pyaar kā rishta nahīñ
jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin
kis liye tum ne shaha phir zulm ko roka nahin
waqt ke badle hue ruKH ne panahen chhin lin
hum pas-e-diwar baiThe hain magar saya nahin
aasman kuchh to bata ya imtihan hai ya saza
silsila zulm-o-sitam ka kis liye rukta nahin
sab ne kanTon hi pe chal kar pai hai manzil yahan
kaamyabi ke safar mein to koi tanha nahin
tajirana zehniyat le kar mila karte hain log
ab kisi ka bhi kisi se be-gharaz rishta nahin
phir zamane ke thapeDo aao Takraate hain hum
main abhi TuTa nahin hun main abhi bikhra nahin
us se bachhDa to akela ho gaya 'athar-shakil'
ab kisi ke sath us ka pyar ka rishta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.