jab ujālā galī se guzarne lagā
sab añdheroñ kā chehra utarne lagā
daur badla to maiñ bhī badal sā gayā
be-gunāhī se apnī mukarne lagā
shaam aa.ī to terā ḳhayāl aa gayā
aa.ina mere ghar kā sañvarne lagā
ḳhushbuoñ kī tarah itr-dānoñ meñ the
jab havā chal ga.ī sab bikharne lagā
ik ġhazal kah sakūñ gar ijāzat mile
āñsuoñ kā ye jharnā nikharne lagā
jab ujala gali se guzarne laga
sab andheron ka chehra utarne laga
daur badla to main bhi badal sa gaya
be-gunahi se apni mukarne laga
sham aai to tera KHayal aa gaya
aaina mere ghar ka sanwarne laga
KHushbuon ki tarah itr-danon mein the
jab hawa chal gai sab bikharne laga
ek ghazal kah sakun gar ijazat mile
aansuon ka ye jharna nikharne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.