jab un ke kuche mein jaana paDta hai
jab un ke kūche meñ jaanā paḌtā hai
rāhoñ meñ be-dard zamāna paḌtā hai
bātoñ kī qīmat jab ghaTne lagtī hai
tab ashkoñ ko kaam meñ laanā paḌtā hai
rahbar bas rasta batlāte rahte haiñ
manzil tak raahī ko jaanā paḌtā hai
puḳhta kar le ai zāhid apnā īmāñ
masjid se pahle mai-ḳhāna paḌtā hai
aise bhī gul haiñ jin ko is duniyā meñ
khilne se pahle murjhānā paḌtā hai
yūñhī ḳhūñ-rezī thoḌī ho jaatī hai
pahle nafrat ko uksānā paḌtā hai
dil meñ hai to bas dil meñ hī mat rakhiye
is duniyā meñ pyaar jatānā paḌtā hai hai
pahle aañsū se dil halkā hotā thā
ab āñkhoñ se ḳhuun bahānā paḌtā hai
jab un ke kuche mein jaana paDta hai
rahon mein be-dard zamana paDta hai
baaton ki qimat jab ghaTne lagti hai
tab ashkon ko kaam mein lana paDta hai
rahbar bas rasta batlate rahte hain
manzil tak rahi ko jaana paDta hai
puKHta kar le ai zahid apna iman
masjid se pahle mai-KHana paDta hai
aise bhi gul hain jin ko is duniya mein
khilne se pahle murjhana paDta hai
yunhi KHun-rezi thoDi ho jati hai
pahle nafrat ko uksana paDta hai
dil mein hai to bas dil mein hi mat rakhiye
is duniya mein pyar jatana paDta hai hai
pahle aansu se dil halka hota tha
ab aankhon se KHun bahana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.