jab uske wasl ki KHwahish jawan ho rahi thi
jab us ke vasl kī ḳhvāhish javān ho rahī thī
vo shāhzādī yaqīñ se gumān ho rahī thī
vo mere pyaar se munkir huī thī us pal jab
qasam uThā rahā thā maiñ azaan ho rahī thī
maiñ us se ishq pe ghanToñ se bahs kar rahā thā
na mere ashk ruke na thakān ho rahī thī
judā huī thī vo jab dil pe vaar karne ko
falak pe qaus-e-quzah bhī kamān ho rahī thī
vo laḌkī kitnī haqīqat-pasand thī 'ammār'
hañsī-ḳhushī se jo ḳhud dāstān ho rahī thī
jab us ke wasl ki KHwahish jawan ho rahi thi
wo shahzadi yaqin se guman ho rahi thi
wo mere pyar se munkir hui thi us pal jab
qasam uTha raha tha main azan ho rahi thi
main us se ishq pe ghanTon se bahs kar raha tha
na mere ashk ruke na thakan ho rahi thi
juda hui thi wo jab dil pe war karne ko
falak pe qaus-e-quzah bhi kaman ho rahi thi
wo laDki kitni haqiqat-pasand thi 'ammar'
hansi-KHushi se jo KHud dastan ho rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.