jab uski taswir banai jati hai
jab us kī tasvīr banā.ī jaatī hai
saaya saaya dhuup milā.ī jaatī hai
pahle us kī āñkheñ sochī jaatī haiñ
phir āñkhoñ meñ raat bitā.ī jaatī haiñ
jis dariyā meñ aks tumhārā dekhā thā
us dariyā meñ naav chalā.ī jaatī hai
jis dar se ham vābasta haiñ us dar se
paanī kī bhī pyaas bujhā.ī jaatī hai
jab us ki taswir banai jati hai
saya saya dhup milai jati hai
pahle us ki aankhen sochi jati hain
phir aankhon mein raat bitai jati hain
jis dariya mein aks tumhaara dekha tha
us dariya mein naw chalai jati hai
jis dar se hum wabasta hain us dar se
pani ki bhi pyas bujhai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.