jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya
jab us se tark-e-mulāqāt kā irāda kiyā
tab us ne dāman-e-dil ko zarā kushāda kiyā
bas ik nigāh se us kī sadā rahe maḳhmūr
kabhī na jaam uThāyā na shaġhl-e-bāda kiyā
fareb de ke bhī us kā qusūr kam hī rahā
ki ham ne us pe bharosa bhī kuchh ziyāda kiyā
sharāfat aur najābat kā is ko ġharra hai
hasab nasab se sivā zikr-e-ḳhānvāda kiyā
jahān-e-sher-o-adab meñ hamārā zikr bhī hai
ki ham ne 'mīr' se 'ġhālib' se istifāda kiyā
mirī ġhayūr tabī.at pe us ko hairat hai
ki arz-e-shauq kā us se na phir i.aada kiyā
ye aur baat ki nākāmiyāñ muqaddar thiiñ
'habāb' jo bhī kiyā ham ne bil-irāda kiyā
jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya
tab us ne daman-e-dil ko zara kushada kiya
bas ek nigah se us ki sada rahe maKHmur
kabhi na jam uThaya na shaghl-e-baada kiya
fareb de ke bhi us ka qusur kam hi raha
ki hum ne us pe bharosa bhi kuchh ziyaada kiya
sharafat aur najabat ka is ko gharra hai
hasab nasab se siwa zikr-e-KHanwada kiya
jahan-e-sher-o-adab mein hamara zikr bhi hai
ki hum ne 'mir' se 'ghaalib' se istifada kiya
meri ghayur tabiat pe us ko hairat hai
ki arz-e-shauq ka us se na phir iada kiya
ye aur baat ki nakaamiyan muqaddar thin
'habab' jo bhi kiya hum ne bil-irada kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.