jab wafa hi nahin zamane mein
jab vafā hī nahīñ zamāne meñ
phir mazā kyā hai dil lagāne meñ
ātish-e-ġham ne dil jalā Daalā
lag ga.ī aag āshiyāne meñ
jaane kyoñ dil dhaḌakne lagtā hai
ab kisī se nazar milāne meñ
terī sūrat kā vaah kyā kahnā
koī saanī nahīñ zamāne meñ
ishq kā raaz haa.e mat pūchho
aur khultā gayā chhupāne meñ
kis ko 'fayyāz' ham kaheñ apnā
koī apnā nahīñ zamāne meñ
jab wafa hi nahin zamane mein
phir maza kya hai dil lagane mein
aatish-e-gham ne dil jala Dala
lag gai aag aashiyane mein
jaane kyon dil dhaDakne lagta hai
ab kisi se nazar milane mein
teri surat ka wah kya kahna
koi sani nahin zamane mein
ishq ka raaz hae mat puchho
aur khulta gaya chhupane mein
kis ko 'fayyaz' hum kahen apna
koi apna nahin zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.