jab yar dekhne ko gulzar ghar se nikla
jab yaar dekhne ko gulzār ghar se niklā
aalam tab us ke bahr-e-dīdār ghar se niklā
karne ko qatl āshiq vo tund-ḳhū kaj-abrū
kaj rakh ke sar pe apnī dastār ghar se niklā
detā thā vo kisī ko gaalī kisī ko jhiḌkī
jis dam nashe meñ ho kar sarshār ghar se niklā
chañgā bhalā jo aayā paas us parī ke 'māhir'
chalte hue vo ho kar bīmār ghar se niklā
jab yar dekhne ko gulzar ghar se nikla
aalam tab us ke bahr-e-didar ghar se nikla
karne ko qatl aashiq wo tund-KHu kaj-abru
kaj rakh ke sar pe apni dastar ghar se nikla
deta tha wo kisi ko gali kisi ko jhiDki
jis dam nashe mein ho kar sarshaar ghar se nikla
changa bhala jo aaya pas us pari ke 'mahir'
chalte hue wo ho kar bimar ghar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.