Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

Krishn Bihari Noor

jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    jabīñ ko dar pe jhukānā bandagī to nahīñ

    ye dekh merī mohabbat meñ kuchh kamī to nahīñ

    hazār ġham sahī dil meñ magar ḳhushī ye hai

    hamāre hoñToñ pe māñgī huī hañsī to nahīñ

    miTe ye shub.h to a dost tujh se baat kareñ

    hamārī pahlī mulāqāt āḳhirī to nahīñ

    huī jo jashn-e-bahārāñ ke naam se mansūb

    ye āshiyānoñ ke jalne raushnī to nahīñ

    hayāt ke liye be-qarār hai duniyā

    tire firāq maqsad hayāt to nahīñ

    ġham-e-habīb kahāñ aur kahāñ ġham-e-jānāñ

    musāhibat hai yaqīnan barābarī to nahīñ

    ye hijr-e-yār ye pābandiyāñ ibādat

    kisī ḳhatā sazā hai ye zindagī to nahīñ

    tumhārī bazm meñ afsāna kahte Dartā huuñ

    ye sochtā huuñ yahāñ koī ajnabī to nahīñ

    jabin ko dar pe jhukana hi bandagi to nahin

    ye dekh meri mohabbat mein kuchh kami to nahin

    hazar gham sahi dil mein magar KHushi ye hai

    hamare honTon pe mangi hui hansi to nahin

    miTe ye shubh to a dost tujh se baat karen

    hamari pahli mulaqat aaKHiri to nahin

    hui jo jashn-e-bahaaran ke nam se mansub

    ye aashiyanon ke jalne ki raushni to nahin

    hayat hi ke liye be-qarar hai duniya

    tere firaq ka maqsad hayat hi to nahin

    gham-e-habib kahan aur kahan gham-e-jaanan

    musahibat hai yaqinan barabari to nahin

    ye hijr-e-yar ye pabandiyan ibaadat ki

    kisi KHata ki saza hai ye zindagi to nahin

    tumhaari bazm mein afsana kahte Darta hun

    ye sochta hun yahan koi ajnabi to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now