jabin miT ke KHud aastan ho gai hai
jabin miT ke KHud aastan ho gai hai
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
jabīñ miT ke ḳhud āstāñ ho ga.ī hai
zamīñ ham-sar-e-āsmāñ ho ga.ī hai
chaman meñ mirī dāstāñ kis ne kah dī
jo yuuñ har kalī ḳhūñ-chakāñ ho ga.ī hai
tire zikr-e-rangīñ se jān-e-tamannā
mirī dāstāñ dāstāñ ho ga.ī hai
maiñ sadqe tasavvur kī rā’nā.iyoñ ke
rasā.ī mirī bhī kahāñ ho ga.ī hai
vo jān-e-chaman hī nahīñ hai chaman meñ
mujhe fasl-e-gul bhī ḳhizāñ ho ga.ī hai
hai ik rabt-e-ḳhās us kī begāngī meñ
adāvat mohabbat-nishāñ ho ga.ī hai
jabin miT ke KHud aastan ho gai hai
zamin ham-sar-e-asman ho gai hai
chaman mein meri dastan kis ne kah di
jo yun har kali KHun-chakan ho gai hai
tere zikr-e-rangin se jaan-e-tamanna
meri dastan dastan ho gai hai
main sadqe tasawwur ki ra’naiyon ke
rasai meri bhi kahan ho gai hai
wo jaan-e-chaman hi nahin hai chaman mein
mujhe fasl-e-gul bhi KHizan ho gai hai
hai ek rabt-e-KHas us ki begangi mein
adawat mohabbat-nishan ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.