jabki dushman ho raaz dan apna
jabki dushman ho raaz daañ apnā
raaz kyuuñ kar rahe nihāñ apnā
ishq meñ phir sukūn kaise ho
dil jab aisā ho bad-gumāñ apnā
thī bahār-e-chaman javānī par
jabki ujḌā thā āshiyāñ apnā
ham mukarrar fareb kyā khā.eñ
lutf rahne do mehrbāñ apnā
kyuuñ na ḳhalvat-guzīñ rahūñ 'shākir'
guzar us bazm meñ kahāñ apnā
jabki dushman ho raaz dan apna
raaz kyun kar rahe nihan apna
ishq mein phir sukun kaise ho
dil jab aisa ho bad-guman apna
thi bahaar-e-chaman jawani par
jabki ujDa tha aashiyan apna
hum mukarrar fareb kya khaen
lutf rahne do mehrban apna
kyun na KHalwat-guzin rahun 'shakir'
guzar us bazm mein kahan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.