aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya

Mohsin Naqvi

ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ek pal meñ zindagī bhar udāsī de gayā

    vo judā hote hue kuchh phuul baasī de gayā

    noch kar shāḳhoñ ke tan se ḳhushk pattoñ libās

    zard mausam bāñjh-rut ko be-libāsī de gayā

    sub.h ke taare mirī pahlī duā tere liye

    dil-e-be-sabr ko taskīñ zarā de gayā

    log malboñ meñ dabe saa.e bhī dafnāne lage

    zalzala ahl-e-zamīñ ko bad-havāsī de gayā

    tund jhoñke ragoñ meñ ghol kar apnā dhuāñ

    ik diyā andhī havā ko ḳhud-shanāsī de gayā

    le gayā 'mohsin' vo mujh se abr bantā āsmāñ

    us ke badle meñ zamīñ sadiyoñ pyāsī de gayā

    ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya

    wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya

    noch kar shaKHon ke tan se KHushk patton ka libas

    zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya

    subh ke tare meri pahli dua tere liye

    tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya

    log malbon mein dabe sae bhi dafnane lage

    zalzala ahl-e-zamin ko bad-hawasi de gaya

    tund jhonke ki ragon mein ghol kar apna dhuan

    ek diya andhi hawa ko KHud-shanasi de gaya

    le gaya 'mohsin' wo mujh se abr banta aasman

    us ke badle mein zamin sadiyon ki pyasi de gaya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now