jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah
jafā vo karte rahe aise bevafā kī tarah
gila bhī kar na sakā maiñ kabhī gila kī tarah
vo sang-dil hai sitamgar hai be-muravvat hai
jo ġham kā haal sune sirf vāqi.a kī tarah
kisī ke bachne kā imkāñ nazar nahīñ aatā
fazā meñ zahr hai phailā huā havā kī tarah
maiñ shāyad uub chukā huuñ hayāt se apnī
mujhe hayāt bhī lagtī hai ab qazā kī tarah
kisī ko Das leñ to paanī na pī sake yaaro
haiñ aise log yahāñ naag devtā kī tarah
vo apnā jurm chhupāne ko shimr ban baiThe
hamārā shahr bhī lagtā hai karbalā kī tarah
tumhārā husn-o-shabāb in dinoñ ma.āz-allāh
nazar jamā.ūñ to chhāne lage nasha kī tarah
chaman ko phuul to phūloñ ko chāhiye ḳhushbū
har ek shai hai yahāñ dosto gadā kī tarah
'naqīb' ab koī pahchān hī nahīñ apnī
yahāñ to chhā ga.ī tahzīb-e-nau balā kī tarah
jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah
gila bhi kar na saka main kabhi gila ki tarah
wo sang-dil hai sitamgar hai be-murawwat hai
jo gham ka haal sune sirf waqia ki tarah
kisi ke bachne ka imkan nazar nahin aata
faza mein zahr hai phaila hua hawa ki tarah
main shayad ub chuka hun hayat se apni
mujhe hayat bhi lagti hai ab qaza ki tarah
kisi ko Das len to pani na pi sake yaro
hain aise log yahan nag dewta ki tarah
wo apna jurm chhupane ko shimr ban baiThe
hamara shahr bhi lagta hai karbala ki tarah
tumhaara husn-o-shabab in dinon maaz-allah
nazar jamaun to chhane lage nasha ki tarah
chaman ko phul to phulon ko chahiye KHushbu
har ek shai hai yahan dosto gada ki tarah
'naqib' ab koi pahchan hi nahin apni
yahan to chha gai tahzib-e-nau bala ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.