Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafaen baKHsh ke mujhko meri wafa mangen

Khatir Ghaznavi

jafaen baKHsh ke mujhko meri wafa mangen

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    jafā.eñ baḳhsh ke mujh ko mirī vafā māñgeñ

    vo mere qatl mujh se ḳhūñ-bahā māñgeñ

    ye dil hamāre liye jis ne ratjage kaaTe

    ab is se baḌh ke koī dost tujh se kyā māñgeñ

    vahī bujhāte haiñ phū.koñ se chāñd tāroñ ko

    ki jin shab ke ujāloñ ham duā māñgeñ

    fazā.eñ chup haiñ kuchh aisī ki dard boltā hai

    badan ke shor meñ kis ko pukāreñ kyā māñgeñ

    qanā.ateñ hameñ le aa.iiñ aisī manzil par

    ki ab sile tamannā na ham jazā māñgeñ

    jafaen baKHsh ke mujh ko meri wafa mangen

    wo mere qatl ka mujh hi se KHun-baha mangen

    ye dil hamare liye jis ne ratjage kaTe

    ab is se baDh ke koi dost tujh se kya mangen

    wahi bujhate hain phukon se chand taron ko

    ki jin ki shab ke ujalon ki hum dua mangen

    fazaen chup hain kuchh aisi ki dard bolta hai

    badan ke shor mein kis ko pukaren kya mangen

    qanaaten hamein le aain aisi manzil par

    ki ab sile ki tamanna na hum jaza mangen

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jafaen baKHsh ke mujhko meri wafa mangen Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now