jafaen dekh liyan bewafaiyan dekhin
jafā.eñ dekh liyāñ bevafā.iyāñ dekhīñ
bhalā huā ki tirī sab burā.iyāñ dekhīñ
tirī galī se sadā ai kashanda-e-ālam
hazāroñ aatī huī chārpā.iyāñ dekhīñ
gayā nazar se jo vo garm tifl-e-ātish-bāz
ham apne chehre pe uḌtī havā.iyāñ dekhīñ
tire visāl ke ham shauq meñ hoñ āvāra
aziiz dost sabhoñ kī judā.iyāñ dekhīñ
hamesha mā.il-e-ā.īna hī tujhe paayā
jo dekhīñ ham ne yahī ḳhud-numā.īyāñ dekhīñ
shahāñ ki kohl-e-javāhar thī ḳhāk-e-pā jin kī
unhīñ kī āñkhoñ meñ phirte salā.iyāñ dekhīñ
banī na apnī to us jañg-jū se hargiz 'mīr'
laḌā.īñ jab se ham āñkheñ laḌā.iyāñ dekhīñ
jafaen dekh liyan bewafaiyan dekhin
bhala hua ki teri sab buraiyan dekhin
teri gali se sada ai kashanda-e-alam
hazaron aati hui chaarpaiyan dekhin
gaya nazar se jo wo garm tifl-e-atish-baz
hum apne chehre pe uDti hawaiyan dekhin
tere visal ke hum shauq mein hon aawara
aziz dost sabhon ki judaiyan dekhin
hamesha mail-e-aina hi tujhe paya
jo dekhin hum ne yahi KHud-numaiyan dekhin
shahan ki kohl-e-jawahar thi KHak-e-pa jin ki
unhin ki aankhon mein phirte salaiyan dekhin
bani na apni to us jang-ju se hargiz 'mir'
laDain jab se hum aankhen laDaiyan dekhin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0314
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.