jafaen hain unki mera zabt-e-gham hai
jafā.eñ haiñ un kī mirā zabt-e-ġham hai
mohabbat kā un kī bhī kaisā karam hai
sar-e-bazm un kī haiñ āñkhoñ meñ aañsū
laboñ par mire merī rūdād-e-ġham hai
unheñ husn kā apne ehsās hai jo
mirī hī nigāhoñ kā samjho karam hai
tirī be-ruḳhī bhī hai goyā qayāmat
tirā ruuTh jaanā bhī goyā sitam hai
nigāheñ milā kar atā mujh ko karnā
tirā jaam mere liye jām-e-jam hai
'asar' dil kī duniyā hai sarshār is dam
nigāhoñ ke aage dayār-e-sanam hai
jafaen hain un ki mera zabt-e-gham hai
mohabbat ka un ki bhi kaisa karam hai
sar-e-bazm un ki hain aankhon mein aansu
labon par mere meri rudad-e-gham hai
unhen husn ka apne ehsas hai jo
meri hi nigahon ka samjho karam hai
teri be-ruKHi bhi hai goya qayamat
tera ruTh jaana bhi goya sitam hai
nigahen mila kar ata mujh ko karna
tera jam mere liye jam-e-jam hai
'asar' dil ki duniya hai sarshaar is dam
nigahon ke aage dayar-e-sanam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.