Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen

Azhar Hashmi Sabqat

jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen

Azhar Hashmi Sabqat

MORE BYAzhar Hashmi Sabqat

    jafāoñ numā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    sitamgar satā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    mujhe tanhā.ī paḌhnī hai magar ḳhāmosh lahje meñ

    yahī mahfil ḳhvāhish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    mire afkār pe bole baḌī tahzīb se zāhid

    muqaddar āzmā.ish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    ye jo behāl manzar ye jo bīmār se ham tum

    siyāsat navāzish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    udhar hai jaam hāthoñ meñ laboñ pe muskurāhaT hai

    udhar jab ḳhuuñ bārish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    mulāzim banñā thā kis ko mulāzim ban gayā koī

    hunar zer-e-sifārish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    zabāñ āzād hai jo bhī vahī to zinda hai lekin

    zabāñ pe kaisī bandish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    adāvat yahāñ 'az.har' jo ik chiñgārī uTThī thī

    vo bantī jaatī ātish hai kisī se kuchh nahīñ boleñ

    jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen

    sitamgar ki sataish hai kisi se kuchh nahin bolen

    mujhe tanhai paDhni hai magar KHamosh lahje mein

    yahi mahfil ki KHwahish hai kisi se kuchh nahin bolen

    mere afkar pe bole baDi tahzib se zahid

    muqaddar aazmaish hai kisi se kuchh nahin bolen

    ye jo behaal sa manzar ye jo bimar se hum tum

    siyasat ki nawazish hai kisi se kuchh nahin bolen

    udhar hai jam hathon mein labon pe muskurahaT hai

    udhar jab KHun ki barish hai kisi se kuchh nahin bolen

    mulazim banna tha kis ko mulazim ban gaya koi

    hunar zer-e-sifarish hai kisi se kuchh nahin bolen

    zaban aazad hai jo bhi wahi to zinda hai lekin

    zaban pe kaisi bandish hai kisi se kuchh nahin bolen

    adawat ki yahan 'azhar' jo ek chingari uTThi thi

    wo banti jati aatish hai kisi se kuchh nahin bolen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now