jaga raha hai tera gham nae nae jadu
jagā rahā hai tirā ġham na.e na.e jaadū
umañD rahī hai ġhazal se bahār kī ḳhushbū
chahak rahe haiñ tasavvur ke baaġh meñ panchhī
bhaTak rahe haiñ ḳhayāloñ ke dasht meñ aahū
lachak rahā hai fazāoñ meñ ḳhvāb kā resham
bikhar ga.e haiñ ufuq-tā-ufuq tire gesū
na jaane kaun sī manzil pe aa gayā huuñ maiñ
na jaane kaun sī bastī meñ rah ga.ī hai tū
mire gale meñ hamā.il haiñ naaz se ab tak
mujhe na chhoḌ sake terī yaad ke baazū
kidhar ho muhtasibo phir koī nayā mansūr
farāz-e-dār se chhalkā rahā hai jām-o-subū
kabhī to bām-e-surayyā ko chuum hī legā
bahut latīf hai aadam kī jumbish-e-abrū
jaga raha hai tera gham nae nae jadu
umanD rahi hai ghazal se bahaar ki KHushbu
chahak rahe hain tasawwur ke bagh mein panchhi
bhaTak rahe hain KHayalon ke dasht mein aahu
lachak raha hai fazaon mein KHwab ka resham
bikhar gae hain ufuq-ta-ufuq tere gesu
na jaane kaun si manzil pe aa gaya hun main
na jaane kaun si basti mein rah gai hai tu
mere gale mein hamail hain naz se ab tak
mujhe na chhoD sake teri yaad ke bazu
kidhar ho muhtasibo phir koi naya mansur
faraaz-e-dar se chhalka raha hai jam-o-subu
kabhi to baam-e-surayya ko chum hi lega
bahut latif hai aadam ki jumbish-e-abru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.