jagmagati KHwahishon ne mujhko andha kar diya
jagmagātī ḳhvāhishoñ ne mujh ko andhā kar diyā
qurbateñ baḳhshīñ to mahrūm-e-tamannā kar diyā
ab to apne aap ko bhī yaad ham aate nahīñ
intishār-e-zāt ne yuuñ reza-reza kar diyā
shīsha-e-dil meñ sukūñ kā aks bhī baaqī nahīñ
kin aziyyat-nāk lamhoñ se shanāsā kar diyā
nā-tavāñ darvāze būḌhī khiḌkiyāñ lau de uThīñ
reshmī pardoñ ne ek ik ghar ko nangā kar diyā
narm sargoshī na qadmoñ kī shanāsā āhaTeñ
gaañv kī galiyoñ ko 'aslam' kis ne tanhā kar diyā
jagmagati KHwahishon ne mujh ko andha kar diya
qurbaten baKHshin to mahrum-e-tamanna kar diya
ab to apne aap ko bhi yaad hum aate nahin
intishaar-e-zat ne yun reza-reza kar diya
shisha-e-dil mein sukun ka aks bhi baqi nahin
kin aziyyat-nak lamhon se shanasa kar diya
na-tawan darwaze buDhi khiDkiyan lau de uThin
reshmi pardon ne ek ek ghar ko nanga kar diya
narm sargoshi na qadmon ki shanasa aahaTen
ganw ki galiyon ko 'aslam' kis ne tanha kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.