jahaalat ka manzar jo rahon mein tha
jahālat kā manzar jo rāhoñ meñ thā
vahī besh-o-kam dars-gāhoñ meñ thā
jo ḳhanjar-ba-kaf qatl-gāhoñ meñ thā
vahī vaqt ke sarbarāhoñ meñ thā
ajab ḳhāmushī us ke hoñToñ pe thī
ajab shor us kī nigāhoñ meñ thā
use is liye maar Daalā gayā
ki vo ziist ke ḳhair-ḳhvāhoñ meñ thā
hamārī nazar se vo kal gir gayā
jo kal tak hamārī nigāhoñ meñ thā
vo kyā detā 'aḳhtar' kisī ko panāh
jo ḳhud umr bhar be-panāhoñ meñ thā
jahaalat ka manzar jo rahon mein tha
wahi besh-o-kam dars-gahon mein tha
jo KHanjar-ba-kaf qatl-gahon mein tha
wahi waqt ke sarbarahon mein tha
ajab KHamushi us ke honTon pe thi
ajab shor us ki nigahon mein tha
use is liye mar Dala gaya
ki wo zist ke KHair-KHwahon mein tha
hamari nazar se wo kal gir gaya
jo kal tak hamari nigahon mein tha
wo kya deta 'aKHtar' kisi ko panah
jo KHud umr bhar be-panahon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.