jahan ab Khaar-zaren ho gai hain
jahāñ ab ḳhār-zāreñ ho ga.ī haiñ
yahīñ aage bahāreñ ho ga.ī haiñ
junūñ meñ ḳhushk ho rag-hā-e-gardan
garebāñ kī sī tāreñ ho ga.ī haiñ
sunā jaatā hai shahr-e-ishq ke gird
mazāreñ hī mazāreñ ho ga.ī haiñ
isī dariyā-e-ḳhūbī kā hai ye shauq
ki maujeñ sab kanāreñ ho ga.ī haiñ
inhīñ galiyoñ meñ jab rote the ham 'mīr'
ka.ī dariyā kī dhāreñ ho ga.ī haiñ
jahan ab KHar-zaren ho gai hain
yahin aage bahaaren ho gai hain
junun mein KHushk ho rag-ha-e-gardan
gareban ki si taren ho gai hain
suna jata hai shahr-e-ishq ke gird
mazaren hi mazaren ho gai hain
isi dariya-e-KHubi ka hai ye shauq
ki maujen sab kanaren ho gai hain
inhin galiyon mein jab rote the hum 'mir'
kai dariya ki dhaaren ho gai hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0354
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.