jahan bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega
jahān bhar kī tamām āñkheñ nichoḌ kar jitnā nam banegā
ye kul milā kar bhī hijr kī raat mere girye se kam banegā
maiñ dasht huuñ ye muġhālta hai na shā.irāna mubālaġha hai
mire badan par kahīñ qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banegā
hamārā lāsha bahāo varna lahad muqaddas mazār hogī
ye surḳh kurtā jalāo varna baġhāvatoñ kā alam banegā
to kyuuñ na ham pāñch saat din tak mazīd socheñ banāne se qabl
mirī chhaTī his batā rahī hai ye rishta TūTegā ġham banegā
mujh aise logoñ kā TeḌh-pan qudratī hai so e'tirāz kaisā
shadīd nam ḳhaak se jo paikar banegā ye tai hai ḳham banegā
sunā huā hai jahāñ meñ be-kār kuchh nahīñ hai so jī rahe haiñ
banā huā hai yaqīñ ki is rā.egānī se kuchh aham banegā
ki shāhzāde kī ādateñ dekh kar sabhī is par muttafiq haiñ
ye juuñ hī hākim banā mahal kā vasī.a raqba haram banegā
maiñ ek tartīb se lagātā rahā huuñ ab tak sukūt apnā
sadā ke vaqfe nikāl is ko shurūa se sun ridham banegā
safed rūmāl jab kabūtar nahīñ banā to vo sho.abada-bāz
palaTne vāloñ se kah rahā thā ruko ḳhudā kī qasam banegā
jahan bhar ki tamam aankhen nichoD kar jitna nam banega
ye kul mila kar bhi hijr ki raat mere girye se kam banega
main dasht hun ye mughaalta hai na shairana mubaalagha hai
mere badan par kahin qadam rakh ke dekh naqsh-e-qadam banega
hamara lasha bahao warna lahad muqaddas mazar hogi
ye surKH kurta jalao warna baghawaton ka alam banega
to kyun na hum panch sat din tak mazid sochen banane se qabl
meri chhaTi his bata rahi hai ye rishta TuTega gham banega
mujh aise logon ka TeDh-pan qudrati hai so e'tiraaz kaisa
shadid nam KHak se jo paikar banega ye tai hai KHam banega
suna hua hai jahan mein be-kar kuchh nahin hai so ji rahe hain
bana hua hai yaqin ki is raegani se kuchh aham banega
ki shahzade ki aadaten dekh kar sabhi is par muttafiq hain
ye jun hi hakim bana mahal ka wasia raqba haram banega
main ek tartib se lagata raha hun ab tak sukut apna
sada ke waqfe nikal is ko shurua se sun ridham banega
safed rumal jab kabutar nahin bana to wo shoabada-baz
palaTne walon se kah raha tha ruko KHuda ki qasam banega
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 66)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.