jahan dhuan tha wahin raushni ke dagh bhi the
jahāñ dhuāñ thā vahīñ raushnī ke daaġh bhī the
mire makān ke malbe meñ kuchh charāġh bhī the
zarā sī der meñ mahfil ko kyā huā yā-rab
abhī to shaam bhī thī mai bhī thī ayāġh bhī the
zamīn bech ke rahte the āsmānoñ par
mire buzurgoñ meñ vo sāhib-e-farāġh bhī the
ḳhudā bhī dekh ke chup thā ki mere dāman meñ
jahāñ gunāh vahīñ āñsuoñ ke daaġh bhī the
jo ham jale to dil-o-jāñ chamak uThe 'qaisar'
bahut dinoñ se ye vīrāne be-charāġh bhī the
jahan dhuan tha wahin raushni ke dagh bhi the
mere makan ke malbe mein kuchh charagh bhi the
zara si der mein mahfil ko kya hua ya-rab
abhi to sham bhi thi mai bhi thi ayagh bhi the
zamin bech ke rahte the aasmanon par
mere buzurgon mein wo sahib-e-faragh bhi the
KHuda bhi dekh ke chup tha ki mere daman mein
jahan gunah wahin aansuon ke dagh bhi the
jo hum jale to dil-o-jaan chamak uThe 'qaisar'
bahut dinon se ye virane be-charagh bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.