jahan-e-rang-o-bu ki dilkashi ban jaen hum donon
jahān-e-rang-o-bū kī dilkashī ban jaa.eñ ham donoñ
kisī ma.asūm bachche kī hañsī ban jaa.eñ ham donoñ
miTā deñ tīrgī ko raushnī ban jaa.eñ ham donoñ
sarāsar purnimā kī chāñdnī ban jaa.eñ ham donoñ
kahānī ḳhūbsūrat hai magar be-rang hai ab tak
chalo kirdār is ke markazī ban jaa.eñ ham donoñ
hamārā zikr bhī aa.e to aa.e ab misāloñ meñ
kareñ taqlīd jin kī sab vahī ban jaa.eñ ham donoñ
gavāhī ho hamārī har kisī mazlūm ke haq meñ
har ik bekas ke chehre kī ḳhushī ban jaa.eñ ham donoñ
badal deñ apne kirdār-o-amal se ham zamāne ko
ab aao pyaar kī pākīzgī ban jaa.eñ ham donoñ
zamīñ kī god bhar deñ ham mohabbat kī phuvāroñ se
sahāb-e-rahmat-o-āsūdgī ban jaa.eñ ham donoñ
qalam se apne 'sīmā' ham likheñ mas.hūr-kun ġhazleñ
diloñ ke saaz chheḌeñ naġhmagī ban jaa.eñ ham donoñ
jahan-e-rang-o-bu ki dilkashi ban jaen hum donon
kisi masum bachche ki hansi ban jaen hum donon
miTa den tirgi ko raushni ban jaen hum donon
sarasar purnima ki chandni ban jaen hum donon
kahani KHubsurat hai magar be-rang hai ab tak
chalo kirdar is ke markazi ban jaen hum donon
hamara zikr bhi aae to aae ab misalon mein
karen taqlid jin ki sab wahi ban jaen hum donon
gawahi ho hamari har kisi mazlum ke haq mein
har ek bekas ke chehre ki KHushi ban jaen hum donon
badal den apne kirdar-o-amal se hum zamane ko
ab aao pyar ki pakizgi ban jaen hum donon
zamin ki god bhar den hum mohabbat ki phuwaron se
sahab-e-rahmat-o-asudgi ban jaen hum donon
qalam se apne 'sima' hum likhen mashur-kun ghazlen
dilon ke saz chheDen naghmagi ban jaen hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.