jahan-e-rang-o-bu mein thi ye virani magar kab tak
jahān-e-rañg-o-bū meñ thī ye vīrānī magar kab tak
hamāre pyaar kī ḳhushbū na pahuñchī thī yahāñ jab tak
tumhārī maslahat-koshī ko hai merā salām ai dil
unheñ chāhā unheñ puujā magar dekhā kahāñ ab tak
azal kī pyaas hoñToñ par liye phirtā rahā nādāñ
uThāyā jaam kitnoñ ne zi-bas pahuñchā kisī lab tak
chalo achchhā huā tum ne to saare daaġh dho Daale
mire dāman pe ye dhabbā rahegā zau-fishāñ kab tak
ḳhamoshī ne mirī kyā kah diyā tujh se ki ai daurāñ
thame aañsū na shabnam ke garebāñ-chāk gul kab tak
ġhalat hai tujh se ummīd-e-vafā ai fitna-e-daurāñ
yūñhī baaqī haiñ hangāme rahe tū mehrbāñ jab tak
'anīs' is kaifiyat meñ ye ġhazal likhnā qayāmat hai
lagegī aag jab dil meñ to pahuñchegā dhuāñ lab tak
jahan-e-rang-o-bu mein thi ye virani magar kab tak
hamare pyar ki KHushbu na pahunchi thi yahan jab tak
tumhaari maslahat-koshi ko hai mera salam ai dil
unhen chaha unhen puja magar dekha kahan ab tak
azal ki pyas honTon par liye phirta raha nadan
uThaya jam kitnon ne zi-bas pahuncha kisi lab tak
chalo achchha hua tum ne to sare dagh dho Dale
mere daman pe ye dhabba rahega zau-fishan kab tak
KHamoshi ne meri kya kah diya tujh se ki ai dauran
thame aansu na shabnam ke gareban-chaak gul kab tak
ghalat hai tujh se ummid-e-wafa ai fitna-e-dauran
yunhi baqi hain hangame rahe tu mehrban jab tak
'anis' is kaifiyat mein ye ghazal likhna qayamat hai
lagegi aag jab dil mein to pahunchega dhuan lab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.