jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta
Interesting Fact
Monthly 'Takhleeq Lahore August 2008
jahāñ ḳhud-ġharziyāñ hoñ vo nagar achchhā nahīñ lagtā
ki jis meñ bhaa.ī laḌte huuñ vo ghar achchhā nahīñ lagtā
vo dastār-e-anā pahne qabīle kā sitāra hai
amīr-e-shahr ko lekin vo sar achchhā nahīñ lagtā
jo vālid kā buḌhāpe meñ sahārā ban nahīñ saktā
jo sach pūchho to ho laḳht-e-jigar achchhā nahīñ lagtā
mujhe to pyaar hai un se jo kaam aate haiñ auroñ ke
faqat daulat kamāne kā hunar achchhā nahīñ lagtā
chaman ko rauñdne vaale ko rahbar kis tarah mānūñ
vo ḳhud achchhā bane mujh ko magar achchhā nahīñ lagtā
mujhe to pyaar vaalī apnī kuTiyā achchhī lagtī hai
jo aivāñ nafrateñ de us kā dar achchhā nahīñ lagtā
jo bachche bhuul kar rañgīniyoñ meñ ġharq ho jaa.e
ḳhudā shāhid hai mujh ko vo pidar achchhā nahīñ lagtā
hadaf ho sāmne 'anvār' to chalte hī rahte haiñ
sarāboñ kā ham ko safar achchhā nahīñ lagtā
jahan KHud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta
ki jis mein bhai laDte hun wo ghar achchha nahin lagta
wo dastar-e-ana pahne qabile ka sitara hai
amir-e-shahr ko lekin wo sar achchha nahin lagta
jo walid ka buDhape mein sahaara ban nahin sakta
jo sach puchho to ho laKHt-e-jigar achchha nahin lagta
mujhe to pyar hai un se jo kaam aate hain auron ke
faqat daulat kamane ka hunar achchha nahin lagta
chaman ko raundne wale ko rahbar kis tarah manun
wo KHud achchha bane mujh ko magar achchha nahin lagta
mujhe to pyar wali apni kuTiya achchhi lagti hai
jo aiwan nafraten de us ka dar achchha nahin lagta
jo bachche bhul kar ranginiyon mein gharq ho jae
KHuda shahid hai mujh ko wo pidar achchha nahin lagta
hadaf ho samne 'anwar' to chalte hi rahte hain
sarabon ka hum ko safar achchha nahin lagta
- Book : Alami Urdu Adab, Jild 27 (Pg. 148(e) 149 )
- Author : Nand Kishor Vikram
- Publication : Publishers and Advertisers, Krishn Nagar, Delhi, (October 2008)
- Edition : October 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.