jahāñ ki hai jurm ek nigāh karnā
vahīñ hai gunah pe DaT ke gunāh karnā
butoñ se baḌhā ke mel nibāh karnā
jahāñ ke safed ko he siyāh karnā
sikhāyā hai mujh ko is mirī be-kasī ne
usī ko sitam kā us ke gavāh karnā
lubhāne se dil ke thā to ye mudda.ā thā
ġharīb kī zindagī ko tabāh karnā
yahī to hai haañ yahī vo adā-e-ma.asūm
alag huī jo sikhā ke gunāh karnā
jafā se bhī leñ maza na vafā kā kyūñkar
hameñ to har ik tarah hai nibāh karnā
ye kahtā hai chashm-e-hosh-rubā kā jaadū
tujhe tire haath se hai tabāh karnā
tirī nazar se sīkhā hai āh-e-dil ne
jigar meñ shigāf Daal ke raah karnā
nazar meñ nazar gaḌā.e hai yuuñ vo zālim
ki 'ārzū' ab kaThin hai ik aah karnā
jahan ki hai jurm ek nigah karna
wahin hai gunah pe DaT ke gunah karna
buton se baDha ke mel nibah karna
jahan ke safed ko he siyah karna
sikhaya hai mujh ko is meri be-kasi ne
usi ko sitam ka us ke gawah karna
lubhane se dil ke tha to ye muddaa tha
gharib ki zindagi ko tabah karna
yahi to hai han yahi wo ada-e-masum
alag hui jo sikha ke gunah karna
jafa se bhi len maza na wafa ka kyunkar
hamein to har ek tarah hai nibah karna
ye kahta hai chashm-e-hosh-ruba ka jadu
tujhe tere hath se hai tabah karna
teri nazar se sikha hai aah-e-dil ne
jigar mein shigaf Dal ke rah karna
nazar mein nazar gaDae hai yun wo zalim
ki 'arzu' ab kaThin hai ek aah karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.