jahan ki qaid se wabasta thi najat meri
Interesting Fact
`
jahāñ kī qaid se vābasta thī najāt mirī
mirī hayāt meñ zinda rahī vafāt mirī
jo tujh se bichhḌā to miT jā.egā vajūd mirā
tire vajūd meñ bastī hai kā.enāt mirī
qalam bhī toḌ do kāġhaz bhī phaaḌ do merā
raqam havā pe ho jā.eñgī ġhazliyāt mirī
laboñ pe bāñdh ke shohrat liyā hai bosa kyā
har ik zabāñ pe uchhalne lagī hai baat mirī
ajal bhī aatī nahīñ merī dast-gīrī ko
so roz jaañ mirī letī hai ab hayāt mirī
havas kī aag ke dariyā se mujh ko bachnā hai
bhale hī pyaas se mar jaa.eñ ḳhvāhishāt mirī
sabhī sahūlateñ miltī haiñ bas suhūlat se
pe kaam aatī haiñ mushkil meñ mushkilāt mirī
jahan ki qaid se wabasta thi najat meri
meri hayat mein zinda rahi wafat meri
jo tujh se bichhDa to miT jaega wajud mera
tere wajud mein basti hai kaenat meri
qalam bhi toD do kaghaz bhi phaD do mera
raqam hawa pe ho jaengi ghazliyat meri
labon pe bandh ke shohrat liya hai bosa kya
har ek zaban pe uchhalne lagi hai baat meri
ajal bhi aati nahin meri dast-giri ko
so roz jaan meri leti hai ab hayat meri
hawas ki aag ke dariya se mujh ko bachna hai
bhale hi pyas se mar jaen KHwahishat meri
sabhi sahulaten milti hain bas suhulat se
pe kaam aati hain mushkil mein mushkilat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.