jahan ko KHatt-e-tanasub pe la banaya hai
jahāñ ko ḳhatt-e-tanāsub pe lā banāyā hai
kisī ne ḳhaak se dekho to kyā banāyā hai
is ehtimām se paikar tirā tarāshtā huuñ
gumān guzre ki jaise banā-banāyā hai
mire charāġh kī lau kā safar havā ke ḳhilāf
mire junūñ ne nayā rāsta banāyā hai
kisī ke marqad-e-ḳhasta se aa rahī hai sadā
hamāre baad kī nasloñ ne kyā banāyā hai
jahan ko KHatt-e-tanasub pe la banaya hai
kisi ne KHak se dekho to kya banaya hai
is ehtimam se paikar tera tarashta hun
guman guzre ki jaise bana-banaya hai
mere charagh ki lau ka safar hawa ke KHilaf
mere junun ne naya rasta banaya hai
kisi ke marqad-e-KHasta se aa rahi hai sada
hamare baad ki naslon ne kya banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.