jahan main hun wahan haalat ka manzar nahin badla
jahāñ maiñ huuñ vahāñ hālāt kā manzar nahīñ badlā
vahī haiñ chāñd taare raat kā manzar nahīñ badlā
usī andāz se girtī hai bijlī āshiyāne par
havā gustāḳh hai barsāt kā manzar nahīñ badlā
agar badlā hai kuchh kuchh jism-o-jāñ kā ruup bāhar se
vahī hai ruuh merī zaat kā manzar nahīñ badlā
hazāroñ log ab bhī haath phailā.e haiñ saḌkoñ par
hamāre shahr meñ ḳhairāt kā manzar nahīñ badlā
'kañval' ik mehrbāñ ne dī thī jo mujh ko mohabbat meñ
ḳhudā kā shukr us sauġhāt kā manzar nahīñ badlā
jahan main hun wahan haalat ka manzar nahin badla
wahi hain chand tare raat ka manzar nahin badla
usi andaz se girti hai bijli aashiyane par
hawa gustaKH hai barsat ka manzar nahin badla
agar badla hai kuchh kuchh jism-o-jaan ka rup bahar se
wahi hai ruh meri zat ka manzar nahin badla
hazaron log ab bhi hath phailae hain saDkon par
hamare shahr mein KHairaat ka manzar nahin badla
'kanwal' ek mehrban ne di thi jo mujh ko mohabbat mein
KHuda ka shukr us saughat ka manzar nahin badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.