jahan mein abhi yun to kya kya na hoga
jahāñ meñ abhī yuuñ to kyā kyā na hogā
zamīñ par koī tum sā paidā na hogā
sharāb-e-mohabbat ko ai zāhido tum
burā gar kahoge to achchhā na hogā
sar-e-bazm dushnām dushman ko de kar
mujhe tum ne kyā dil meñ kosā na hogā
mirī be-qarārī ko kyā dekhte ho
kabhī barq ko tum ne dekhā na hogā
'nasīm' aur kuchh fikr kiije ḳhudārā
ab is naukrī meñ guzārā na hogā
jahan mein abhi yun to kya kya na hoga
zamin par koi tum sa paida na hoga
sharab-e-mohabbat ko ai zahido tum
bura gar kahoge to achchha na hoga
sar-e-bazm dushnam dushman ko de kar
mujhe tum ne kya dil mein kosa na hoga
meri be-qarari ko kya dekhte ho
kabhi barq ko tum ne dekha na hoga
'nasim' aur kuchh fikr kije KHudara
ab is naukri mein guzara na hoga
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 150)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.