jahan mein haal mera is qadar zabun hua
jahāñ meñ haal mirā is qadar zabūn huā
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhī sukūn huā
ġharīb dil ne bahut ārzūeñ paidā kiiñ
magar nasīb kā likkhā ki sab kā ḳhuun huā
vo apne husn se vāqif maiñ apnī 'aql se sair
unhoñ ne hosh sambhālā mujhe junūn huā
umīd-e-chashm-e-muravvat kahāñ rahī baaqī
zarīya bātoñ kā jab sirf telephone huā
nigāh-e-garm christmas meñ bhī rahī ham par
hamāre haq meñ december bhī māh-e-june huā
jahan mein haal mera is qadar zabun hua
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua
gharib dil ne bahut aarzuen paida kin
magar nasib ka likkha ki sab ka KHun hua
wo apne husn se waqif main apni 'aql se sair
unhon ne hosh sambhaala mujhe junun hua
umid-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baqi
zariya baaton ka jab sirf telephone hua
nigah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par
hamare haq mein december bhi mah-e-june hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.