jahan mein har taraf dekha nahin hai gham-gusar apna
jahan mein har taraf dekha nahin hai gham-gusar apna
Syed Rushaid Ali Jaffery
MORE BYSyed Rushaid Ali Jaffery
jahāñ meñ har taraf dekhā nahīñ hai ġham-gusār apnā
tamanna ḳhvāhisheñ ummīd le baiThīñ qarār apnā
bahāreñ andalībān-e-chaman ho yā parī-chehra
kisī par kab chalā hai tamkanat meñ eqtidār apnā
tumheñ ma.alūm hai jaanā zamāne kī pur-āshobī
isī ḳhātir banāyā hai tire dar ko dayār apnā
falak kī raah meñ kuchh TimTimāte haiñ jahāñ taare
isī dasht-e-farozāñ meñ banegā ik mazār apnā
jahan mein har taraf dekha nahin hai gham-gusar apna
tamanna KHwahishen ummid le baiThin qarar apna
bahaaren andaliban-e-chaman ho ya pari-chehra
kisi par kab chala hai tamkanat mein eqtidar apna
tumhein malum hai jaana zamane ki pur-ashobi
isi KHatir banaya hai tere dar ko dayar apna
falak ki rah mein kuchh TimTimate hain jahan tare
isi dasht-e-farozan mein banega ek mazar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.