Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan mein hausla-e-izz-o-nam paida kar

Wali Kakoravi

jahan mein hausla-e-izz-o-nam paida kar

Wali Kakoravi

MORE BYWali Kakoravi

    jahāñ meñ hausla-e-izz-o-nām paidā kar

    pas-e-fanā bhī baqā-e-davām paidā kar

    jigar meñ lazzat-e-soz-e-davām paidā kar

    dayār-e-ishq meñ apnā maqām paidā kar

    baras paḌeñgī nigāheñ chahār jānib se

    faroġh-e-jalva-e-māh-e-tamām paidā kar

    naved-e-shauq tirī rā.egāñ na jā.egī

    magar salīqa-e-arz-e-payām paidā kar

    sukūn-e-sāhil-e-dariyā na DhūñD dariyā meñ

    misāl-e-mauj-e-jahanda ḳhirām paidā kar

    har ek fard ho millat nāzish-e-daurāñ

    nizām-e-dahr meñ aisā nizām paidā kar

    na ho farefta-e-sāġhar-o-ḳhum-e-maġhrib

    vatan ḳhaak se mīnā-o-jām paidā kar

    agar hai hausla-e-dīd shāhid-e-maqsūd

    to pahle zauq-e-tamāshā-e-bām paidā kar

    ḳhudī quvvat-e-pinhāñ se kaam le hama-dam

    diloñ meñ ġhair ke bhī ehtirām paidā kar

    farefta dil-e-sayyād bhī ho o bulbul

    na.ī tarah taḌap zer-e-dām paidā kar

    nazar na ā.eñge yuuñ jalva-hā-e-rangā-rang

    jadīd zauq-e-nazar sub.h-o-shām paidā kar

    pasand hai tujhe kyoñ pastī-e-zamīñ āḳhir

    falak se bhī kahīñ aalī maqām paidā kar

    buland hauslagī hai shi.ār-e-ahl-e-ḳhirad

    hilāl toḌ de māh-e-tamām paidā kar

    hai maut qatra-e-ahqar dūrī-e-dariyā

    ba-rang-e-mauj visāl-e-davām paidā kar

    'valī' badal de urūs-e-suḳhan rang-e-kuhan

    misāl-e-hazrat-e-iqbāl naam paidā kar

    jahan mein hausla-e-izz-o-nam paida kar

    pas-e-fana bhi baqa-e-dawam paida kar

    jigar mein lazzat-e-soz-e-dawam paida kar

    dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar

    baras paDengi nigahen chahaar jaanib se

    farogh-e-jalwa-e-mah-e-tamam paida kar

    nawed-e-shauq teri raegan na jaegi

    magar saliqa-e-arz-e-payam paida kar

    sukun-e-sahil-e-dariya na DhunD dariya mein

    misal-e-mauj-e-jahanda KHiram paida kar

    har ek fard ho millat ka nazish-e-dauran

    nizam-e-dahr mein aisa nizam paida kar

    na ho farefta-e-saghar-o-KHum-e-maghrib

    watan ki KHak se mina-o-jam paida kar

    agar hai hausla-e-did shahid-e-maqsud

    to pahle zauq-e-tamasha-e-baam paida kar

    KHudi ki quwwat-e-pinhan se kaam le hama-dam

    dilon mein ghair ke bhi ehtiram paida kar

    farefta dil-e-sayyaad bhi ho o bulbul

    nai tarah ki taDap zer-e-dam paida kar

    nazar na aaenge yun jalwa-ha-e-ranga-rang

    jadid zauq-e-nazar subh-o-sham paida kar

    pasand hai tujhe kyon pasti-e-zamin aaKHir

    falak se bhi kahin aali maqam paida kar

    buland hauslagi hai shiar-e-ahl-e-KHirad

    hilal toD de mah-e-tamam paida kar

    hai maut qatra-e-ahqar ki duri-e-dariya

    ba-rang-e-mauj visal-e-dawam paida kar

    'wali' badal de urus-e-suKHan ka rang-e-kuhan

    misal-e-hazrat-e-iqbaal nam paida kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now