jahan murad hai tu us taraf ishaara kar
jahāñ murād hai tū us taraf ishāra kar
tire nasīb ke ta.ane mujhe na maarā kar
kabhī to baiTh ke yāroñ ke saath chaa.e pī
kabhī to baiTh ke fursat se din guzārā kar
ai ḳhush-mizāj bahut sā ḳhayāl rakh apnā
ai pur-jamāl tū apnī nazar utārā kar
yahī nasīb hai taqsīm isī ko kahte haiñ
kisī kī maan le chādar meñ rah guzārā kar
mirā yaqīn kare chhoḌ de tujhe tanhā
tirī to māntā hai chāñd ko ishāra kar
jahan murad hai tu us taraf ishaara kar
tere nasib ke tane mujhe na mara kar
kabhi to baiTh ke yaron ke sath chae pi
kabhi to baiTh ke fursat se din guzara kar
ai KHush-mizaj bahut sa KHayal rakh apna
ai pur-jamal tu apni nazar utara kar
yahi nasib hai taqsim isi ko kahte hain
kisi ki man le chadar mein rah guzara kar
mera yaqin kare chhoD de tujhe tanha
teri to manta hai chand ko ishaara kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.