jahan par ahl-e-dil hote nahin hain
jahāñ par ahl-e-dil hote nahīñ haiñ
ravayye mo’tadil hote nahīñ haiñ
bahut rakhte haiñ āvāra diloñ ko
ye jazbe pā-ba-gil hote nahīñ haiñ
falak par uḌne vaale bādaloñ ke
Thikāne mustaqil hote nahīñ haiñ
ho be-shak mushtarak dīvār lekin
muqaddar muttasil hote nahīñ haiñ
dil-e-dard-āshnā hotā hai jin meñ
vo siine muzmahil hote nahīñ haiñ
sa.mbhālo ḳhud hī apne rat-jagoñ ko
ye virse muntaqil hote nahīñ haiñ
jahan par ahl-e-dil hote nahin hain
rawayye mo’tadil hote nahin hain
bahut rakhte hain aawara dilon ko
ye jazbe pa-ba-gil hote nahin hain
falak par uDne wale baadalon ke
Thikane mustaqil hote nahin hain
ho be-shak mushtarak diwar lekin
muqaddar muttasil hote nahin hain
dil-e-dard-ashna hota hai jin mein
wo sine muzmahil hote nahin hain
sambhaalo KHud hi apne rat-jagon ko
ye wirse muntaqil hote nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.