jahan se aa gae hain us jahan ki yaad aati hai
jahāñ se aa ga.e haiñ us jahāñ kī yaad aatī hai
ki ham uryāñ-saroñ ko sā.ebāñ kī yaad aatī hai
jahān-e-mahfil-e-shab meñ sabhī āñkheñ bhigote haiñ
sabhī ko apne apne raftagāñ kī yaad aatī hai
vahāñ jab tak rahe tab tak yahāñ kī fikr rahtī thī
yahāñ jab aa ga.e haiñ to vahāñ kī yaad aatī hai
ye shahr-e-ajnabī meñ ab kise jā kar batā.eñ ham
kahāñ ke rahne vaale haiñ kahāñ kī yaad aatī hai
jahan se aa gae hain us jahan ki yaad aati hai
ki hum uryan-saron ko saeban ki yaad aati hai
jahan-e-mahfil-e-shab mein sabhi aankhen bhigote hain
sabhi ko apne apne raftagan ki yaad aati hai
wahan jab tak rahe tab tak yahan ki fikr rahti thi
yahan jab aa gae hain to wahan ki yaad aati hai
ye shahr-e-ajnabi mein ab kise ja kar bataen hum
kahan ke rahne wale hain kahan ki yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.