jahan shisha hai patthar jagte hain
jahāñ shīsha hai patthar jāgte haiñ
zarar-ījād ghar ghar jāgte haiñ
sadaf āsūdgī kī niind so.e
magar pyāse samundar jāgte haiñ
uḌī afvāh andhī bastiyoñ meñ
sitāroñ se muqaddar jāgte haiñ
luTeroñ ke liye sotī haiñ āñkheñ
magar ham apne andar jāgte haiñ
añdheroñ meñ khañDar sotā paḌā hai
abābīloñ ke lashkar jāgte haiñ
jahan shisha hai patthar jagte hain
zarar-ijad ghar ghar jagte hain
sadaf aasudgi ki nind soe
magar pyase samundar jagte hain
uDi afwah andhi bastiyon mein
sitaron se muqaddar jagte hain
luTeron ke liye soti hain aankhen
magar hum apne andar jagte hain
andheron mein khanDar sota paDa hai
ababilon ke lashkar jagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.