jahan wahm-o-guman ho jaega kya
jahāñ vahm-o-gumāñ ho jā.egā kyā
yahāñ sab kuchh dhuāñ ho jā.egā kyā
sitāre dhuul aur miTTī baneñge
samundar āsmāñ ho jā.egā kyā
tumhārā ishq to lā-hāsilī hai
ye ġham bhī rā.egāñ ho jā.egā kyā
yuuñ sar par haath rakh kar chal rahe ho
to is se sā.ebāñ ho jā.egā kyā
ye merā iḳhtitām-e-zindagī bhī
kahīñ pe darmiyāñ ho jā.egā kyā
kisī kā dukh samajhtā hī nahīñ jo
zamāna mehrbāñ ho jā.egā kyā
bahut kuchh hai yahāñ kahne ke laa.eq
magar sab kuchh bayāñ ho jā.egā kyā
haañ aadam kī nishānī hai ye insāñ
magar ye be-nishāñ ho jā.egā kyā
mujhe marnā to hai ik roz 'dānish'
magar ye nā-gahāñ ho jā.egā kyā
jahan wahm-o-guman ho jaega kya
yahan sab kuchh dhuan ho jaega kya
sitare dhul aur miTTi banenge
samundar aasman ho jaega kya
tumhaara ishq to la-hasili hai
ye gham bhi raegan ho jaega kya
yun sar par hath rakh kar chal rahe ho
to is se saeban ho jaega kya
ye mera iKHtitam-e-zindagi bhi
kahin pe darmiyan ho jaega kya
kisi ka dukh samajhta hi nahin jo
zamana mehrban ho jaega kya
bahut kuchh hai yahan kahne ke laeq
magar sab kuchh bayan ho jaega kya
han aadam ki nishani hai ye insan
magar ye be-nishan ho jaega kya
mujhe marna to hai ek roz 'danish'
magar ye na-gahan ho jaega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.