jahaz ek din samay ke dusre sahil se pahunchenge
jahāz ik din samay ke dūsre sāhil se pahuñcheñge
hamāre haal tak kuchh log mustaqbil se pahuñcheñge
zamīñ vaalo rasad-gāh-e-zamāñ se dekhte rahnā
hamāre 'aks nuurī saal ke jhilmil se pahuñcheñge
maiñ ḳhud to ho chukā huuñ kā.enātī dhuul kā hissa
mire zarrāt tum tak gard-e-lā-hāsil se pahuñcheñge
hameñ dekho ki kitnā sahl pahuñche nā-rasā.ī tak
ġhalat tum ne kahā thā ham yahāñ mushkil se pahuñcheñge
ġhazal dil ke gramophone par bajtī huī dhun hai
jahāñ pahuñchegī dhun ham bhī vahāñ tak dil se pahuñcheñge
zamānoñ paar jā nikleñge āñkheñ muuñd kar 'shāhid'
maqāmāt-e-ḳhabar tak ḳhvāb kī manzil se pahuñcheñge
jahaz ek din samay ke dusre sahil se pahunchenge
hamare haal tak kuchh log mustaqbil se pahunchenge
zamin walo rasad-gah-e-zaman se dekhte rahna
hamare 'aks nuri sal ke jhilmil se pahunchenge
main KHud to ho chuka hun kaenati dhul ka hissa
mere zarraat tum tak gard-e-la-hasil se pahunchenge
hamein dekho ki kitna sahl pahunche na-rasai tak
ghalat tum ne kaha tha hum yahan mushkil se pahunchenge
ghazal dil ke gramophone par bajti hui dhun hai
jahan pahunchegi dhun hum bhi wahan tak dil se pahunchenge
zamanon par ja niklenge aankhen mund kar 'shahid'
maqamat-e-KHabar tak KHwab ki manzil se pahunchenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.