jahez kam tha bahu aag mein utari hai
jahez kam thā bahū aag meñ utārī hai
hamāre gaañv meñ ab tak ye rasm jaarī hai
qadam uThā.ūñgī to ḳhaak par lahū hogā
paḌī hai pair jo zanjīr mujh se bhārī hai
ridā-e-hijr pe jo dard kī kaḌhā.ī kī
tumhārī yaad meñ ye pahlī dast-kārī hai
sukūt-e-shām kā manzar hai aur bujhī āñkheñ
udāsī had se baḌhī hai to kitnī pyārī hai
ye merā dil nahīñ ujḌā huā makāñ hai koī
ye merī aañkh nahīñ zaḳhmoñ kī kiyārī hai
jahez kam tha bahu aag mein utari hai
hamare ganw mein ab tak ye rasm jari hai
qadam uThaungi to KHak par lahu hoga
paDi hai pair jo zanjir mujh se bhaari hai
rida-e-hijr pe jo dard ki kaDhai ki
tumhaari yaad mein ye pahli dast-kari hai
sukut-e-sham ka manzar hai aur bujhi aankhen
udasi had se baDhi hai to kitni pyari hai
ye mera dil nahin ujDa hua makan hai koi
ye meri aankh nahin zaKHmon ki kiyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.