Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahl ko aagahi banate hue

Ammar Iqbal

jahl ko aagahi banate hue

Ammar Iqbal

MORE BYAmmar Iqbal

    jahl ko āgahī banāte hue

    mil gayā raushnī banāte hue

    kyā qayāmat kisī pe guzregī

    āḳhirī aadmī banāte hue

    kyā huā thā zarā patā to chale

    vaqt kyā thā ghaḌī banāte hue

    kaise kaise banā diye chehre

    apnī be-chehragī banāte hue

    dasht vus.ateñ baḌhātī thiiñ

    merī āvārgī banāte hue

    us ne nāsūr kar liyā hogā

    zaḳhm ko shā.erī banāte hue

    jahl ko aagahi banate hue

    mil gaya raushni banate hue

    kya qayamat kisi pe guzregi

    aaKHiri aadmi banate hue

    kya hua tha zara pata to chale

    waqt kya tha ghaDi banate hue

    kaise kaise bana diye chehre

    apni be-chehragi banate hue

    dasht ki wusaten baDhati thin

    meri aawargi banate hue

    us ne nasur kar liya hoga

    zaKHm ko shaeri banate hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now