jaisa manzar mile gawara kar
jaisā manzar mile gavārā kar
tabsire chhoḌ de nazārā kar
ab to jiine kī aarzū bhī nahīñ
chārāgar ab to koī chārā kar
vasl kis ko nasīb hotā hai
'dāġh' ke sher par guzārā kar
apne allāh se ho jab shikva
sab ke allāh ko pukārā kar
ham to bande haiñ jumbish-e-lab ke
yuuñ na ḳhāmosh rah ke maarā kar
jaisa manzar mile gawara kar
tabsire chhoD de nazara kar
ab to jine ki aarzu bhi nahin
chaaragar ab to koi chaara kar
wasl kis ko nasib hota hai
'dagh' ke sher par guzara kar
apne allah se ho jab shikwa
sab ke allah ko pukara kar
hum to bande hain jumbish-e-lab ke
yun na KHamosh rah ke mara kar
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013 )
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.