jaisa socho waisa matlab hota hai
jaisā socho vaisā matlab hotā hai
halkī baat kā gahrā matlab hotā hai
chehra paḌh kar dekhoge to jānoge
ḳhāmoshī kā kyā kyā matlab hotā hai
hijrat ko tum naql-e-makānī kahte ho
hijrat kā mar jaanā matlab hotā hai
apnī baat mukammal kar ke jaao tum
aadhī baat kā ulTā matlab hotā hai
shahzādī hai duniyā matlab vaalī ye
sab kā apnā apnā matlab hotā hai
jaisa socho waisa matlab hota hai
halki baat ka gahra matlab hota hai
chehra paDh kar dekhoge to jaanoge
KHamoshi ka kya kya matlab hota hai
hijrat ko tum naql-e-makani kahte ho
hijrat ka mar jaana matlab hota hai
apni baat mukammal kar ke jao tum
aadhi baat ka ulTa matlab hota hai
shahzadi hai duniya matlab wali ye
sab ka apna apna matlab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.