jaise aks-e-falak habab mein ho
jaise aks-e-falak habāb meñ ho
ek qatra kahīñ sarāb meñ ho
ashk-e-sākit meñ kyā jagā ġham-e-ishq
chāñd āġhosh-e-ḳhvāb-e-āb meñ ho
na hañse apnī bebasī par bhī
kyā patā kaun kis azaab meñ ho
aa.ī hai phir kisī ke haq meñ sazā
jurm kis ke magar savāb meñ ho
dil ḳhizāñ-gāh-e-do-jahāñ hī sahī
rañg-e-ḳhūñ aisā kis gulāb meñ ho
jo maiñ zarre se is jahāñ kī huuñ fikr
kyā ajab jo ye iztirāb meñ ho
harf-e-āḳhir lage hai qaul mirā
ik savāl-e-nihāñ javāb meñ ho
in do misroñ meñ hai mirī āvāz
phuul jaise koī kitāb meñ ho
jaise aks-e-falak habab mein ho
ek qatra kahin sarab mein ho
ashk-e-sakit mein kya jaga gham-e-ishq
chand aaghosh-e-KHwab-e-ab mein ho
na hanse apni bebasi par bhi
kya pata kaun kis azab mein ho
aai hai phir kisi ke haq mein saza
jurm kis ke magar sawab mein ho
dil KHizan-gah-e-do-jahan hi sahi
rang-e-KHun aisa kis gulab mein ho
jo main zarre se is jahan ki hun fikr
kya ajab jo ye iztirab mein ho
harf-e-aKHir lage hai qaul mera
ek sawal-e-nihan jawab mein ho
in do misron mein hai meri aawaz
phul jaise koi kitab mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.